Shayari
dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kis ne aabaad kiyaa hai miri viraani ko
ishq ne? ishq to bimaar paDaa hai mujh mein
کس نے آباد کیا ہے مری ویرانی کو
عشق نے؟ عشق تو بیمار پڑا ہے مجھ میں
किस ने आबाद किया है मिरी वीरानी को
इश्क़ ने? इश्क़ तो बीमार पड़ा है मुझ में

dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kaisi hoti hain udaasi ki jaDein
aa dikhaaun tujhe dil ke reshe
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti
har ek shai ko dobaara badal ke dekhtaa huun
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa
barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log
divaar uTh gai thi to dar kyuun banaayaa hai
patthar mein kaun jonk lagaaegaa mere dost
dil hai to mubtalaa bhi kahin honaa chaahiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aakhiri baar mulaaqaat to kar li hai magar
silsila apni mohabbat kaa kahaan aakhiri hai
hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri
hamin ko saunpi gai gham ki paasbaani bhi
filfil-e-khaal-e-malaahat ke tasavvur mein tire
charcharaahaT hai kabaab-e-dil-e-biryaan mein kyaa