Shayari
sach ye hai ham hi mohabbat kaa sabaq paDh na sake
varna an-paDh to na the ham ko paDhaane vaale
kaisaa maqaam aayaa mohabbat ki raah mein
dil ro rahaa hai meraa magar aankh tar nahin
کیسا مقام آیا محبت کی راہ میں
دل رو رہا ہے میرا مگر آنکھ تر نہیں
कैसा मक़ाम आया मोहब्बत की राह में
दिल रो रहा है मेरा मगर आँख तर नहीं

sach ye hai ham hi mohabbat kaa sabaq paDh na sake
varna an-paDh to na the ham ko paDhaane vaale
shahr ki galiyon aur saDkon par phirte hain maayusi mein
kaash koi 'anvar' se puchhe aise be-ghar kitne hain
tumhaare dil mein koi aur bhi hai mere sivaa
gumaan to hai zaraa saa magar yaqin nahin
husn aisaa ki zamaane mein nahin jis ki misaal
aur jamaal aisaa ki DhunDaa kare har khvaab-o-khayaal
ham fitratan insaan hain farishte to nahin hain
daavaa ye karein kaise ki laghzish nahin karte
daaman pe to har ek ke chhiTein hain khuun ki
ab kis se puchhiye ki gunahgaar kaun hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi