Shayari
ai kaash hamaari qismat mein aisi bhi koi shaam aa jaae
ik chaand falak par niklaa ho ik chaand sar-e-baam aa jaae
Duub kar main ne tufaan ki de di khabar
naakhudaa be-khabar ho to main kyaa karun
ڈوب کر میں نے طوفاں کی دے دی خبر
ناخدا بے خبر ہو تو میں کیا کروں
डूब कर मैं ने तूफ़ाँ की दे दी ख़बर
नाख़ुदा बे-ख़बर हो तो मैं क्या करूँ

ai kaash hamaari qismat mein aisi bhi koi shaam aa jaae
ik chaand falak par niklaa ho ik chaand sar-e-baam aa jaae
mire ashk bhi hain is mein ye sharaab ubal na jaae
miraa jaam chhune vaale tiraa haath jal na jaae
mujhe phunkne se pahle miraa dil nikaal lenaa
ye kisi ki hai amaanat mire saath jal na jaae
abhi raat kuchh hai baaqi na uThaa naqaab saaqi
tiraa rind girte girte kahin phir sambhal na jaae
main nazar se pi rahaa huun ye samaan badal na jaae
na jhukaao tum nigaahein kahin raat Dhal na jaae
akelaa paa ke mujh ko yaad un ki aa to jaati hai
magar phir lauT kar jaati nahin main kaise so jaaun
vafaa-daari ba-shart-e-ustuvaari asl imaan hai
mare but-khaane mein to kaabe mein gaaDo birhman ko
gila likhun main agar teri bevafaai kaa
lahu mein gharq safina ho aashnaai kaa
ye kyaa zaruri ki sab baa-vafaa pukaarein hamein
koi to hai jo hamein bevafaa pukaartaa hai
ai samundar ki taraf dekhne vaale tu ne
apne tufaan kaa nazaara to kiyaa hotaa kabhi
vafaa kaa har chalan sikhlaa diyaa thaa
kisi ne bevafaa hone se pahle
main bhi kuchh khush nahin vafaa kar ke
tum ne achchhaa kiyaa nibaah na ki