Shayari
aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
is ta'alluq mein nahin mumkin talaaq
ye mohabbat hai koi shaadi nahin
اس تعلق میں نہیں ممکن طلاق
یہ محبت ہے کوئی شادی نہیں
इस तअल्लुक़ में नहीं मुमकिन तलाक़
ये मोहब्बत है कोई शादी नहीं

aadmi ke liye ronaa hai baDi baat 'shuur'
hans to sakte hain sab insaan hansi mein kyaa hai
miri hayaat hai bas raat ke andhere tak
mujhe havaa se bachaae rakho savere tak
divaar-e-zindaan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiThaa huun
kabhi rotaa thaa us ko yaad kar ke
ab aksar be-sabab rone lagaa huun
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
'shuur' sirf iraade se kuchh nahin hotaa
amal hai shart iraade sabhi ke hote hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pareshaan ho ke dil tark-e-taalluq par hai aamaada
mohabbat mein ye surat bhi na raas aai to kyaa hogaa
us se yahi kahtaa huun vaajib ehtiraam-e-ishq hai
andar se ye khvaahish hai vo jaisaa kahe vaisaa karun
majnun milaa to puchhtaa thaa dasht-e-‘ishq mein
ab suntaa vaan hai mere fasaane bhi koi kyaa
yaa to khud ko sipurd-e-'ishq na kar
yaa jo hotaa hai phir malaal na puchh