Shayari
muskuraane ki kyaa zarurat hai
aap yuun bhi udaas lagte hain
vahshi raqs chamakte khanjar surkh alaav
jangal jangal kaanTe-daar qabile phuul
وحشی رقص چمکتے خنجر سرخ الاؤ
جنگل جنگل کانٹے دار قبیلے پھول
वहशी रक़्स चमकते ख़ंजर सुर्ख़ अलाव
जंगल जंगल काँटे-दार क़बीले फूल

muskuraane ki kyaa zarurat hai
aap yuun bhi udaas lagte hain
kuchh der us ne dekh liyaa chaand ki taraf
kuchh der aaj chaand ko itraanaa chaahiye
musaafir tiraa zikr karte rahe
mahaktaa rahaa raasta der tak
bas itni si baat thi us ki zulf zaraa lahraai thi
khauf-zada har shaam kaa manzar sahmi si har raat mili
miri vahshat mire sahraa mein un ko DhunDhti hai
jo the do-chaar chehre jaane pahchaane se pahle
baDi hi karbnaak thi vo pahli raat hijr ki
dobaara dil mein aisaa dard aaj tak nahin huaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
nishaan kyon DhunDhte ho ungliyon ke
qazaa aai thi dastaane pahan kar
ik shakl hamein phir bhaai hai ik surat dil mein samaai hai
ham aaj bahut sarshaar sahi par aglaa moD judaai hai
tum gae raunaq-e-bahaar gai
tum na jaao bahaar ke din hain