Shayari
khud apni masti hai jis ne machaai hai halchal
nasha sharaab mein hotaa to naachti botal
vahaan khaak ahd-e-vafaa nibhe vahaan khaak dil kaa kanval khile
jahaan zindagi ki zaruraton kaa bhi hasraton mein shumaar hai
وہاں خاک عہد وفا نبھے وہاں خاک دل کا کنول کھلے
جہاں زندگی کی ضرورتوں کا بھی حسرتوں میں شمار ہے
वहाँ ख़ाक अहद-ए-वफ़ा निभे वहाँ ख़ाक दिल का कँवल खिले
जहाँ ज़िंदगी की ज़रूरतों का भी हसरतों में शुमार है

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa