Shayari
gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
افسوس عمر کٹ گئی رنج و ملال میں
دیکھا نہ خواب میں بھی جو کچھ تھا خیال میں
अफ़्सोस उम्र कट गई रंज-ओ-मलाल में
देखा न ख़्वाब में भी जो कुछ था ख़याल में

gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
kaisaa aanaa kaisaa jaanaa mere ghar kyaa aaoge
ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho
kartaa hai ai 'asar' dil-e-khun-gashta kaa gila
aashiq vo kyaa ki khasta-e-tegh-e-jafaa na ho
saath duniyaa kaa nahin taalib-e-duniyaa dete
apne kutton ko ye murdaar liye phirti hai
aaina dekh ke farmaate hain
kis ghazab ki hai javaani meri
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
ai dost is zamaan-o-makaan ke azaab mein
dushman hai jo kisi ko duaa-e-hayaat de
chhoTi hi umr mein allaah vazifa itnaa
abhi kyaa sin hai jo paDhte ho balaa ki tasbih