Shayari
mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
khamoshi bhi hai ye aavaaz bhi hai
'arsh' kis dost ko apnaa samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
عرشؔ کس دوست کو اپنا سمجھوں
سب کے سب دوست ہیں دشمن کی طرف
'अर्श' किस दोस्त को अपना समझूँ
सब के सब दोस्त हैं दुश्मन की तरफ़

mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
khamoshi bhi hai ye aavaaz bhi hai
maut hi insaan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaaegi
ik raushni si dil mein thi vo bhi nahin rahi
vo kyaa gae charaagh-e-tamannaa bujhaa gae
khushk baaton mein kahaan hai shaikh kaif-e-zindagi
vo to pi kar hi milegaa jo mazaa piine mein hai
balaa hai qahr hai aafat hai fitna hai qayaamat hai
hasinon ki javaani ko javaani kaun kahtaa hai
ishq-e-butaan kaa le ke sahaaraa kabhi kabhi
apne khudaa ko ham ne pukaaraa kabhi kabhi
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaaq
tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand
ai khaal-e-rukh-e-yaar tujhe Thiik banaataa
jaa chhoD diyaa haafiz-e-quraan samajh kar
vo chaandni vo tabassum vo pyaar ki baatein
hui sahar to vo manzar tamaam shab ke gae
tark kar apnaa bhi ki is raah mein
har koi shaayaan-e-rifaaqat nahin
jamhuriyat-navaaz bashar-dost amn-khvaah
khud ko jo khud diye the vo alqaab kyaa hue