Shayari
jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
dard meraaj ko pahunchtaa hai
jab koi tarjumaan nahin miltaa
درد معراج کو پہنچتا ہے
جب کوئی ترجماں نہیں ملتا
दर्द मेराज को पहुँचता है
जब कोई तर्जुमाँ नहीं मिलता

jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
ishq-e-butaan kaa le ke sahaaraa kabhi kabhi
apne khudaa ko ham ne pukaaraa kabhi kabhi
mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
khamoshi bhi hai ye aavaaz bhi hai
maut hi insaan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaaegi
ik raushni si dil mein thi vo bhi nahin rahi
vo kyaa gae charaagh-e-tamannaa bujhaa gae
saaqi miri khamosh-mizaaji ki laaj rakh
iqraar gar nahin hai to inkaar bhi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile
bosa honTon kaa mil gayaa kis ko
dil mein kuchh aaj dard miThaa hai
vo agar aa na sake maut hi aai hoti
hijr mein koi to gham-khvaar hamaaraa hotaa