Shayari
tumhaari yaad mein duniyaa ko huun bhulaae hue
tumhaare dard ko siine se huun lagaae hue
do-aalam ko abad tak apni khushbu se basaaungaa
mujhe Tahni pa murjhaa kar bikhar jaanaa nahin aataa
دو عالم کو ابد تک اپنی خوشبو سے بساؤں گا
مجھے ٹہنی پہ مرجھا کر بکھر جانا نہیں آتا
दो-आलम को अबद तक अपनी ख़ुश्बू से बसाऊँगा
मुझे टहनी प मुरझा कर बिखर जाना नहीं आता

tumhaari yaad mein duniyaa ko huun bhulaae hue
tumhaare dard ko siine se huun lagaae hue
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
tere shabaab ne kiyaa mujh ko junun se aashnaa
mere junun ne bhar diye rang tiri shabaab mein
jis husn ki hai chashm-e-tamannaa ko justuju
vo aaftaab mein hai na hai maahtaab mein
ilaahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein
nikal aati hain maujein ham jise saahil samajhte hain
saari duniyaa se be-niyaazi hai
vaah ai mast-e-naaz kyaa kahnaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
tum kisi sang pe ab sar ko Tikaa kar so jaao
kaun suntaa hai shab-e-gham kaa fasaanaa sar-e-raah
phir tujhe aur mujhe aur kahin jaanaa hai
ham-safar saath to chal jitni saDak baaqi hai
koi schōl ki ghanTi bajaa de
ye bachcha muskuraanaa chaahtaa hai
khudi se pyaar karo aur khudaa ke saath raho
ye tum se kis ne kahaa bevafaa ke saath raho