Shayari
abhi raushan huaa jaataa hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahi hai
koi schōl ki ghanTi bajaa de
ye bachcha muskuraanaa chaahtaa hai
کوئی اسکول کی گھنٹی بجا دے
یہ بچہ مسکرانا چاہتا ہے
कोई स्कूल की घंटी बजा दे
ये बच्चा मुस्कुराना चाहता है

abhi raushan huaa jaataa hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahi hai
jhuuT mein shak ki kam gunjaaish ho sakti hai
sach ko jab chaaho jhuThlaayaa jaa saktaa hai
main ne haathon se bujhaai hai dahakti hui aag
apne bachche ke khilaune ko bachaane ke liye
shadid garmi mein kaise nikle vo phul-chehra
so apne raste mein dhuup divaar ho rahi hai
tumhaare baa'd baDaa farq aa gayaa ham mein
tumhaare baa'd kisi pe khafaa nahin hue ham
umr kaa ek aur saal gayaa
vaqt phir ham pe khaak Daal gayaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
mujh ko paanaa hai to phir mujh mein utar kar dekho
yuun kinaare se samundar nahin dekhaa jaataa