Shayari
khvaab muTThi mein liye phirte hain sahraa sahraa
ham vahi log hain jo dhuup ke par kaaTte hain
teraa hi raqs silsila-e-aks-e-khvaab hai
is ashk-e-nim-shab se shab-e-maahtaab tak
تیرا ہی رقص سلسلہ عکس خواب ہے
اس اشک نیم شب سے شب ماہتاب تک
तेरा ही रक़्स सिलसिला-ए-अक्स-ए-ख़्वाब है
इस अश्क-ए-नीम-शब से शब-ए-माहताब तक

khvaab muTThi mein liye phirte hain sahraa sahraa
ham vahi log hain jo dhuup ke par kaaTte hain
ab to mujh ko bhi nahin milti miri koi khabar
kitnaa gumnaam huaa huun main numaayaan ho kar
raat bhar chaand se hoti rahein teri baatein
raat khole hain sitaaron ne tire raaz bahut
ek ik saans mein sadiyon kaa safar kaaTte hain
khauf ke shahr mein rahte hain so Dar kaaTte hain
dukh safar kaa hai ki apnon se bichhaD jaane kaa gham
kyaa sabab hai vaqt-e-rukhsat ham-safar khaamosh hain
ajab hairat hai akasr dekhtaa hai mere chehre ko
ye kis naa-aashnaa kaa aaine mein aks rahtaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ghaDi vahm mein guzre hain nae akhbaaraat
tire kuche mein gumaan apnaa ye jaasus huaa
guzri siyaahkaari mein yaa rab tamaam umr
aadhi shabaab mein kaTi aadhi khizaab mein
aaj pi lene de saaqi mujhe ji lene de
kal miri raat khudaa jaane kahaan guzregi