Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
guzri siyaahkaari mein yaa rab tamaam umr
aadhi shabaab mein kaTi aadhi khizaab mein
گزری سیاہ کاری میں یا رب تمام عمر
آدھی شباب میں کٹی آدھی خضاب میں
गुज़री सियाहकारी में या रब तमाम उम्र
आधी शबाब में कटी आधी ख़िज़ाब में

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
ai dost is zamaan-o-makaan ke azaab mein
dushman hai jo kisi ko duaa-e-hayaat de
ho umr-e-khizr bhi to ho maalum vaqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaan abhi aae abhi chale
is qadar ki sarf taskhir-e-pari-ruyaan mein umr
rafta rafta naam meraa ab pari-khvaan ho gayaa