Shayari
aagahi ne diye ibhaam ke dhoke kyaa kyaa
sharh-e-alfaaz jo likkhi to ishaare likkhe
dilon mein talkhiyaan phir bhi nazar mein muskuraahaT ho
balaa ke habs mein bhi ho havaa aisaa bhi hotaa hai
دلوں میں تلخیاں پھر بھی نظر میں مسکراہٹ ہو
بلا کے حبس میں بھی ہو ہوا ایسا بھی ہوتا ہے
दिलों में तल्ख़ियाँ फिर भी नज़र में मुस्कुराहट हो
बला के हब्स में भी हो हवा ऐसा भी होता है

aagahi ne diye ibhaam ke dhoke kyaa kyaa
sharh-e-alfaaz jo likkhi to ishaare likkhe
tujh ko paaein tujhe kho baiThein phir
zindagi ek thi Dar kitne the
lahu rulaate hain aur phir bhi yaad aate hain
mohabbaton ke puraane nisaab se kuchh hain
main kaun huun ki hai sab kaanch kaa vajud miraa
miraa libaas bhi mailaa dikhaai detaa hai
baadalon ki aas us ke saath hi rukhsat hui
shahr ko vo aag ki be-rahmiyaan bhi de gayaa
us raat ke maathe par ubhreinge sitaare bhi
ye khauf andheron kaa shaadaab nahin rahnaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
daagh dil ke hain salaamat to koi baat nahin
tirgi laakh sahi subh kaa imkaan rakhnaa
tu agar naazaan hai apne husn par maah-e-mubin
dil bhi vo zarra hai jis ki raushni kuchh kam nahin
dil aur duniyaa donon ko khush rakhne mein
apne-aap se duuri to ho jaati hai