Shayari
dilon mein talkhiyaan phir bhi nazar mein muskuraahaT ho
balaa ke habs mein bhi ho havaa aisaa bhi hotaa hai
lahu rulaate hain aur phir bhi yaad aate hain
mohabbaton ke puraane nisaab se kuchh hain
لہو رلاتے ہیں اور پھر بھی یاد آتے ہیں
محبتوں کے پرانے نصاب سے کچھ ہیں
लहू रुलाते हैं और फिर भी याद आते हैं
मोहब्बतों के पुराने निसाब से कुछ हैं

dilon mein talkhiyaan phir bhi nazar mein muskuraahaT ho
balaa ke habs mein bhi ho havaa aisaa bhi hotaa hai
aagahi ne diye ibhaam ke dhoke kyaa kyaa
sharh-e-alfaaz jo likkhi to ishaare likkhe
tujh ko paaein tujhe kho baiThein phir
zindagi ek thi Dar kitne the
main kaun huun ki hai sab kaanch kaa vajud miraa
miraa libaas bhi mailaa dikhaai detaa hai
baadalon ki aas us ke saath hi rukhsat hui
shahr ko vo aag ki be-rahmiyaan bhi de gayaa
us raat ke maathe par ubhreinge sitaare bhi
ye khauf andheron kaa shaadaab nahin rahnaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae