Shayari
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
us vaqt se bachaa mujhe ai rabb-e-kaainaat
hubb-e-vatan ho dil mein vatan kaaTne lage
اس وقت سے بچا مجھے اے رب کائنات
حب وطن ہو دل میں وطن کاٹنے لگے
उस वक़्त से बचा मुझे ऐ रब्ब-ए-काएनात
हुब्ब-ए-वतन हो दिल में वतन काटने लगे

muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
ek ummid ke sahaare par
kitni taakhir dekh lete hain
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
laD rahaa huun main akelaa kaar-zaar-e-hast mein
kar faraaham tu bhi zaalim apne hone kaa javaaz
paD jaate hain kitne chhaale haathon mein
aate hain phir chand nivaale haathon mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab se makaan badal gaiin donon paDosanein
lagtaa nahin hai ji miraa ujDe dayaar mein
kaifiyat ke ishaare pe tasvir mein chand rangon ki tartib badli gai
aasmaan zard hai aur zamin nilgun chand kaale shajar ik hari raat hai
hanste hanste ho gayaa barbaad main
khush-dili aisi bhi hoti hai bhalaa
hangaam-e-qanaaat dil-e-murda huaa zinda
mazmun-e-qum eajaaz-e-lab-e-naan-e-javin thaa