Shayari
is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
aae na phir nazar kahin jaane kidhar gae
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar gai
آئے نہ پھر نظر کہیں جانے کدھر گئے
ان تک تو ساتھ گردش شام و سحر گئی
आए न फिर नज़र कहीं जाने किधर गए
उन तक तो साथ गर्दिश-ए-शाम-ओ-सहर गई

is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
kuchh na paa kar bhi mutmain hain ham
ishq mein haath kyaa khazaane lage
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahaane lage
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aayaa
tere jalvon kaa asar yaad aayaa
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
dosti khun-e-jigar chaahti hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
ab aa gai hai sahar apnaa ghar sambhaalne ko
chalun ki jaagaa huaa raat bhar kaa main bhi huun
raat ko aa kar jo tum milte to haan ik baat thi
subh ko surat dikhaane aaftaab aayaa to kyaa