Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
ye ek peD hai aa is se mil ke ro lein ham
yahaan se tere mire raaste badalte hain
یہ ایک پیڑ ہے آ اس سے مل کے رو لیں ہم
یہاں سے تیرے مرے راستے بدلتے ہیں
ये एक पेड़ है आ इस से मिल के रो लें हम
यहाँ से तेरे मिरे रास्ते बदलते हैं

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
zoaf se girya mubaddal ba-dam-e-sard huaa
baavar aayaa hamein paani kaa havaa ho jaanaa
be-parda su-e-vaadi-e-majnun guzar na kar
har zarra ke naqaab mein dil be-qaraar hai
shahr-e-dil aabaad thaa jab tak vo shahr-aaraa rahaa
jab vo shahr-aaraa gayaa phir shahr-e-dil mein kyaa rahaa