Shayari
jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa
bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf
kaise yaad rahi tujh ko
meri ik chhoTi si bhuul
کیسے یاد رہی تجھ کو
میری اک چھوٹی سی بھول
कैसे याद रही तुझ को
मेरी इक छोटी सी भूल

jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa
bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf
dil lagaa lete hain ahl-e-dil vatan koi bhi ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho
kuchh to hassaas ham ziyaada hain
kuchh vo barham ziyaada hotaa hai
'baasir' tumhein yahaan kaa abhi tajraba nahin
bimaar ho? paDe raho, mar bhi gae to kyaa
ruk gayaa haath tiraa kyuun 'baasir'
koi kaanTaa to na thaa phulon mein
gilaa bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
munavvar maan ke aage yuun kabhi khul kar nahin ronaa
jahaan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti
jab baDh gai umr ghaT gai ziist
jo had se ziyaada ho vo kam hai
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
aise bohtaan lagaae ki khudaa yaad aayaa
but ne ghabraa ke kahaa mujh se ki quraan uThaa
kidhar qafas thaa kahaan ham the kis taraf ye qaid
kuchh ittifaaq hai sayyaad aab-o-daane kaa