Shayari
har ek lahza miri dhaDkanon mein chubhti thi
ajiib chiiz mire dil ke aas-paas rahi
vo the javaab ke saahil pe muntazir lekin
samay ki naav mein meraa savaal Duub gayaa
وہ تھے جواب کے ساحل پہ منتظر لیکن
سمے کی ناؤ میں میرا سوال ڈوب گیا
वो थे जवाब के साहिल पे मुंतज़िर लेकिन
समय की नाव में मेरा सवाल डूब गया

har ek lahza miri dhaDkanon mein chubhti thi
ajiib chiiz mire dil ke aas-paas rahi
chaandi ke gharondon ki jab baat chali hogi
miTTi ke khilaunon se bahlaae gae honge
biich saDak ik laash paDi thi aur ye likkhaa thaa
bhuuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai
log to jaa ke samundar ko jalaa aae hain
main jise phunk kar aayaa vo miraa ghar niklaa
khudaa kare miraa munsif sazaa sunaane par
miraa hi sar mire qaatil ke ru-ba-ru rakh de
yuun to kai kitaabein paDhin zehn mein magar
mahfuz ek saada varaq der tak rahaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ye vaqt band darichon pe likh gayaa 'qaisar'
main jaa rahaa huun miraa intizaar mat karnaa
na niind aankhon mein baaqi na intizaar rahaa
ye haal thaa to koi nek kaam kyaa karte
kaali ghaTaa kab aaegi fasl-e-bahaar mein
aankhein safed ho gaiin is intizaar mein