Shayari
is tarah to aur bhi divaangi baDh jaaegi
paagalon ko paagalon se duur rahnaa chaahiye
aankhon mein ek baar ubharne ki der thi
phir aansuon ne aap hi raste banaa liye
آنکھوں میں ایک بار ابھرنے کی دیر تھی
پھر آنسوؤں نے آپ ہی رستے بنا لیے
आँखों में एक बार उभरने की देर थी
फिर आँसुओं ने आप ही रस्ते बना लिए

is tarah to aur bhi divaangi baDh jaaegi
paagalon ko paagalon se duur rahnaa chaahiye
har taraf thi khaamoshi aur aisi khaamoshi
raat apne saae se ham bhi Dar ke roe the
ham kaafiron ne shauq mein roza to rakh liyaa
ab hausla baDhaane ko iftaar bhi to ho
khaamoshi mein chaahe jitnaa begaana-pan ho
lekin ik aahaT jaani-pahchaani hoti hai
har ghaDi teraa tasavvur har nafas teraa khayaal
is tarah to aur bhi teri kami baDh jaaegi
ek jaise lag rahe hain ab sabhi chehre mujhe
hosh ki ye intihaa hai yaa bahut nashshe mein huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai