Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
vo jaate hain aati hai qayaamat ki sahar aaj
rotaa hai duaaon se gale mil ke asar aaj
وہ جاتے ہیں آتی ہے قیامت کی سحر آج
روتا ہے دعاؤں سے گلے مل کے اثر آج
वो जाते हैं आती है क़यामत की सहर आज
रोता है दुआओं से गले मिल के असर आज

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
muddaaa duur tak gayaa lekin
aarzu lauT kar nahin aai
gham-e-dil ab kisi ke bas kaa nahin
kyaa davaa kyaa duaa kare koi
duaa karo ki main us ke liye duaa ho jaaun
vo ek shakhs jo dil ko duaa saa lagtaa hai
hamaare shahr ki rivaayaton mein ek ye bhi thaa
duaa se qabl puchhnaa asar mein kitni der hai
'riyaaz' ehsaas-e-khuddaari pe kitni choT lagti hai
kisi ke paas jab jaataa hai koi muddaaa le kar
abr barse to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karti hai