Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
muddaaa duur tak gayaa lekin
aarzu lauT kar nahin aai
مدعا دور تک گیا لیکن
آرزو لوٹ کر نہیں آئی
मुद्दआ दूर तक गया लेकिन
आरज़ू लौट कर नहीं आई

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
tira-o-taar fazaaon mein jiyaa huun ab tak
nikhat-o-nur ke ayyaam ki hasrat hi rahi
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi
din guzaarun to koi raat suhaani aae
khvaahish hai ki khud ko bhi kabhi duur se dekhun
manzar kaa nazaara karun manzar se nikal kar
khvaab aur tamannaa kaa kyaa hisaab rakhnaa hai
khvaahishein hain sadiyon ki umr to zaraa si hai