Shayari
mire saath koi to ho jise main ye kah sakun
main kise kahun mujhe chhoD de mire haal par
maidaan mein akelaa nihatthaa khaDaa thaa main
dushman ko meri nekiyaan lashkar dikhaai diin
میدان میں اکیلا نہتھا کھڑا تھا میں
دشمن کو میری نیکیاں لشکر دکھائی دیں
मैदान में अकेला निहत्था खड़ा था मैं
दुश्मन को मेरी नेकियाँ लश्कर दिखाई दीं

mire saath koi to ho jise main ye kah sakun
main kise kahun mujhe chhoD de mire haal par
yahaan darvaaze dastak de rahe hain
havaa ne khel ulTaa kar diyaa hai
yuun kinaare se mohabbat na kiyaa kar ham se
is se behtar hai mohabbat se kinaaraa kar le
rang bharte hain saadgi mein sab
main ne rangon ko saadgi di hai
dekh le mujh ko andhere mein nazar aataa huun main
chikhne vaale tire andar kaa sannaaTaa huun main
is tarah hasrat-e-didaar nikal kar aai
ek aahaT pe vo sau baar nikal kar aai
khalq be-parvaa khudaa bandon se tang aayaa huaa
main akelaa phir rahaa huun hashr ke maidaan mein
main akelaa huun tu bhi tanhaa hai
ham bhi kitne hain be-sahaare dekh
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
main 'shaad' tanhaa ik taraf duniyaa ki duniyaa ik taraf
saaraa samundar ik taraf aansu kaa qatra ik taraf