Shayari
is qadar unchi hui divaar-e-nafrat har taraf
aaj har insaan se insaan ki paziraai gai
main akelaa huun tu bhi tanhaa hai
ham bhi kitne hain be-sahaare dekh
میں اکیلا ہوں تو بھی تنہا ہے
ہم بھی کتنے ہیں بے سہارے دیکھ
मैं अकेला हूँ तू भी तन्हा है
हम भी कितने हैं बे-सहारे देख

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vaqt ki kokh mein sulagtaa saa
meri hasti kaa gham paheli hai
lagtaa hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaaq'
rone ki sadaa aati hai yaadon ke khanDar se
yuun dard ne ummid ke laD se mujhe baandhaa
dariyaaon ko jis tarah kinaaraa kare koi