Shayari
fi-zamaana ye muravvat bhi bahut hai 'mazhar'
un ko jaanaa thaa magar dost bahaane se gae
E
Ehsanul Haq Mazhartum aadatan kahoge use yaar maazarat
lekin ye e'tiraaf ke zumre mein aaegaa
تم عادتاً کہو گے اسے یار معذرت
لیکن یہ اعتراف کے زمرے میں آئے گا
तुम आदतन कहोगे उसे यार मा'ज़रत
लेकिन ये ए'तिराफ़ के ज़ुमरे में आएगा
fi-zamaana ye muravvat bhi bahut hai 'mazhar'
un ko jaanaa thaa magar dost bahaane se gae
is mohabbat se miri samt koi dekhtaa hai
ruk bhi jaataa huun kabhi dasht ko jaataa huaa main
raaste aur bhi jaate hain udhar ko lekin
vo mire dil se guzartaa huaa ghar jaataa hai
zindagi us ki amaanat thi vagarna 'mazhar'
ham ise apne tasarruf mein bhi laa sakte the
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki