Shayari
aap ne jis ko farishte kaa diyaa thaa darja
us ki insaanon si fitrat hai to hairat kyaa hai
umidon se karo aazaad aur phir
mohabbat ki sanam parvaaz dekho
امیدوں سے کرو آزاد اور پھر
محبت کی صنم پرواز دیکھو
उमीदों से करो आज़ाद और फिर
मोहब्बत की सनम परवाज़ देखो

aap ne jis ko farishte kaa diyaa thaa darja
us ki insaanon si fitrat hai to hairat kyaa hai
jo auron ko uDte hue dekhtaa ho
vo pinjre mein kaise sukun se rahegaa
mire qalam ki siyaahi mein 'ishq hai teraa
miraa ye naam ye shohrat tiri badaulat hai
hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe
naache hai mohabbat ki ye sur taal pe khud hi
dil ko ye hunar yaar sikhaayaa nahin jaataa
jo haqiqat se khauf khaane lage
khvaab aise main dekhtaa hi nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan
azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain
'sabaa' ham ne to hargiz kuchh na dekhaa jazb-e-ulfat mein
ghalat ye baat kahte hain ki dil ko raah hai dil se
gayaa shabaab par itnaa rahaa taalluq-e-ishq
dil o jigar mein tapak gaah gaah hoti hai
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche