Shayari
kaash vo raaste mein mil jaae
mujh ko munh pher kar guzarnaa hai
bahut kahti rahi aandhi se chiDiyaa
ki pahli baar bachche uD rahe hain
بہت کہتی رہی آندھی سے چڑیا
کہ پہلی بار بچے اڑ رہے ہیں
बहुत कहती रही आँधी से चिड़िया
कि पहली बार बच्चे उड़ रहे हैं

kaash vo raaste mein mil jaae
mujh ko munh pher kar guzarnaa hai
khuun pilaa kar jo sher paalaa thaa
us ne circus mein naukri kar li
pareshaan hai vo jhuTaa ishq kar ke
vafaa karne ki naubat aa gai hai
Tahalte phir rahe hain saare ghar mein
tiri khaali jagah ko bhar rahe hain
aaj paivand ki zarurat hai
ye sazaa hai rafu na karne ki
puchh lete vo bas mizaaj miraa
kitnaa aasaan thaa ilaaj miraa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kal yahi bachche samundar ko muqaabil paaeinge
aaj tairaate hain jo kaaghaz ki nannhi kashtiyaan
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
ghar se niklun to khilaune bhi uThaa letaa huun
mujh se rote hue bachche nahin dekhe jaate
is dafa bachcha samajh kar chhoDe detaa huun tujhe
maar Daalungaa agar baar-e-digar paidaa huaa
mai ko jo istilaah mein kahte hain dukht-e-raz
vo mughbacha hai rindon kaa saalaa kahein jise