Shayari
vahi hai ikhtilaaf-e-baahami ki anjuman ab to
faqat shaadi ke din us ne milaai haan mein haan meri

Mohammad Taha Khan
Mohammad Taha Khan
vahi hai ikhtilaaf-e-baahami ki anjuman ab to
faqat shaadi ke din us ne milaai haan mein haan meri
daur-e-jamhuri mein bangladesh jaanaa thaa tujhe
aksariyyat chhoD kar zaalim idhar paidaa huaa
is dafa bachcha samajh kar chhoDe detaa huun tujhe
maar Daalungaa agar baar-e-digar paidaa huaa
jaan-e-izraail ab nakhron kaa tere gham karun
yaa main tujh par sura-e-yaasin paDh kar dam karun
sabab is kaa jo puchhaa doctor-saahab ne farmaayaa
bahut aage gae baaqi jo hain tayyaar baiThe hain
laDi is ThaaT se mankuha-e-kaafir-bayaan meri
farishte likhte likhte chhoD bhaage daastaan meri
sahar se shaam tak chalti rahi hai chaae par chaae
na ye be-kaar baiThe hain na vo be-kaar baiThe hain
haae qismat january maangi to july mili
haal kaa taalib huaa maazi tamannaai mili