Shayari
yuun na qaatil ko jab yaqin aayaa
ham ne dil khol kar dikhaai choT
dil-e-marhum ko khudaa bakhshe
ek hi gham-gusaar thaa na rahaa
دل مرحوم کو خدا بخشے
ایک ہی غم گسار تھا نہ رہا
दिल-ए-मरहूम को ख़ुदा बख़्शे
एक ही ग़म-गुसार था न रहा

yuun na qaatil ko jab yaqin aayaa
ham ne dil khol kar dikhaai choT
vahm-o-qayaas ke sivaa haasil-e-hosh kuchh nahin
fahm ki ibtidaa hai vahm aql ki had qayaas hai
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'faani'
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
har musibat kaa diyaa ek tabassum se javaab
is tarah gardish-e-dauraan ko rulaayaa main ne
maujon ki siyaasat se maayus na ho 'faani'
girdaab ki har tah mein saahil nazar aataa hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik Tiis jigar mein uThti hai ik dard saa dil mein hotaa hai
ham raat ko royaa karte hain jab saaraa aalam sotaa hai
saae gali mein jaagte rahte hain raat bhar
tanhaaiyon ki oT se jhaankaa na kar mujhe
ham apne shahr se ho kar udaas aae the
tumhaare shahr se ho kar udaas jaanaa thaa