Shayari
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
puuri tarah se ab ke tayyaar ho ke nikle
ham chaaragar se milne bimaar ho ke nikle
پوری طرح سے اب کے تیار ہو کے نکلے
ہم چارہ گر سے ملنے بیمار ہو کے نکلے
पूरी तरह से अब के तय्यार हो के निकले
हम चारागर से मिलने बीमार हो के निकले

chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
ilaaj apnaa karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho naa mohabbat kyuun nahin karte
main ronaa chaahtaa huun khuub ronaa chaahtaa huun main
phir us ke baad gahri niind sonaa chaahtaa huun main
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa
har gali kuche mein rone ki sadaa meri hai
shahr mein jo bhi huaa hai vo khataa meri hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
zindagi main bhi chalungaa tire pichhe pichhe
tu mire dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
band rakkhoge dariche dil ke yaaro kab talak
koi dastak de rahaa hai uTh ke dekho to sahi