Shayari
vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
shaairi ko miraa izhaar samajhtaa hai magar
parda-e-sher uThaanaa bhi nahin chaahtaa hai
شاعری کو مرا اظہار سمجھتا ہے مگر
پردۂ شعر اٹھانا بھی نہیں چاہتا ہے
शाइ'री को मिरा इज़हार समझता है मगर
पर्दा-ए-शे'र उठाना भी नहीं चाहता है

vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
phir soch ke ye sabr kiyaa ahl-e-havas ne
bas ek mahina hi to ramzaan rahegaa
mire ashaar hain vo aasmaani khvaab jin ko
miri miTTi ke honThon par utaaraa jaa rahaa hai
ik aayat-e-vajud huun miTTi ke Dher mein
mere nuzul ki to koi shaan hi nahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
jaanib-e-kaaba tu kyuun le gayaa but-khaane se
mujh se divaane ko ai ishq na bahkaanaa thaa
lahron kaa thartharaanaa kyun-kar pasand aave
yaani nazar mein apni khush-gaatiyaan hain teri
kahin dekhaa hai is haiat kaa maashuq
nazar kiijo muslimaanaan! khudaa-raa