Shayari
is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
lahron kaa thartharaanaa kyun-kar pasand aave
yaani nazar mein apni khush-gaatiyaan hain teri
لہروں کا تھرتھرانا کیوں کر پسند آوے
یعنی نظر میں اپنی خوش گاتیاں ہیں تیری
लहरों का थरथराना क्यूँ-कर पसंद आवे
यानी नज़र में अपनी ख़ुश-गातियाँ हैं तेरी

is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
kuchh TuuTe phaTe siine ko saath apne safar mein
kyaa vo bhi musaafir jo na rakkhe sui taagaa
misr ko chhoD ke aai hai jo hindustaan mein
mere yusuf ki zulekhaa tu kharidaar hai kyaa
'mushafi' karb-o-balaa kaa safar aasaan nahin
sainkaDon basra-o-baghdaad mein mar jaate hain
mahrum hai naama-daar-e-duniyaa
paani se tihi habaab dekhaa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
bosa jo rukh kaa dete nahin lab kaa dijiye
ye hai masal ki phuul nahin pankhuDi sahi
anal-haq ki haqiqat ko jo ho mansur so jaane
ki us ko aasmaan chaDhne se chaDhnaa daar behtar thaa
buz-dili hogi charaaghon ko dikhaanaa aankhein
abr chhaT jaae to suraj se milaanaa aankhein