Shayari
khizaan ke aakhiri din the vo khushbu maangne aayaa
miraa daaman hi khaali thaa main us ko phuul kyaa deti
main kisi ke saath huun aur vo kisi ke saath hai
ik musalsal haadisa ye zindagi ke saath hai
میں کسی کے ساتھ ہوں اور وہ کسی کے ساتھ ہے
اک مسلسل حادثہ یہ زندگی کے ساتھ ہے
मैं किसी के साथ हूँ और वो किसी के साथ है
इक मुसलसल हादिसा ये ज़िंदगी के साथ है

khizaan ke aakhiri din the vo khushbu maangne aayaa
miraa daaman hi khaali thaa main us ko phuul kyaa deti
maan ban chuki huun main bhi magar us se kyaa kahun
jo apni maan ke pyaar se aage na jaa sakaa
ajiib rut hai ye hijr-o-visaal se aage
kamaal hone lagaa hai kamaal se aage
alfaaz na aavaaz na hamraaz na dam-saaz
ye kaise doraahe pe main khaamosh khaDi huun
vo aae to rang sanvarne lagte hain
jaise bichhDaa yaar bhi koi mausam hai
aurat huun magar surat-e-kohsaar khaDi huun
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se laDi huun
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
zindagi qarib hai kis qadar jamaal se
jab koi sanvar gayaa zindagi sanvar gai
main zindagi ki kitaab mein ik fasaana-e-be-asar nahin thi
varaq ko jaldi ulaT gae tum main qissa-e-mukhtasar nahin thi
ab tavajjoh hi nahin un ki to kyaa rang-e-hayaat
muft kaa ilzaam hai ye zindagi kaahe ko hai