Shayari
ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apnaa banaanaa chaahe
dil mein soe saare dard jagaataa hai
bin mausam ki baarish aisaa nauha hai
دل میں سوئے سارے درد جگاتا ہے
بن موسم کی بارش ایسا نوحہ ہے
दिल में सोए सारे दर्द जगाता है
बिन मौसम की बारिश ऐसा नौहा है

ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apnaa banaanaa chaahe
vo khudaa hai to bhalaa us se shikaayat kaisi?
muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhaanaa chaahe
kis kis phuul ki shaadaabi ko maskh karoge bolo!!!
ye to us ki den hai jis ko chaahe vo mahkaae
andar aisaa habs thaa main ne khol diyaa darvaaza
jis ne dil se jaanaa hai vo khaamoshi se jaae
aankh aur baadal donon TuuT ke rote hain
jaane in kaa aapas mein kyaa rishta hai
tumhaare rang phike paD gae naan
miri aankhon ki viraani ke aage
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke