Shayari
maayus dilon ko ab chheDo bhi to kyaa haasil
TuuTe hue paimaane fariyaad nahin karte
ek khvaab-o-khayaal hai duniyaa
e'tibaar-e-nazar ko kyaa kahiye
ایک خواب و خیال ہے دنیا
اعتبار نظر کو کیا کہئے
एक ख़्वाब-ओ-ख़याल है दुनिया
ए'तिबार-ए-नज़र को क्या कहिए

maayus dilon ko ab chheDo bhi to kyaa haasil
TuuTe hue paimaane fariyaad nahin karte
fazaa kaa tang honaa fitrat-e-aazaad se puchho
par-e-parvaaz hi kyaa jo qafas ko aashiyaan samjhe
dil hai miraa rangini-e-aaghaaz pe maail
nazron mein abhi jaam hai anjaam nahin hai
ik teraa aasraa hai faqat ai khayaal-e-dost
sab bujh gae charaagh shab-e-intizaar mein
un pe qurbaan har khushi kar di
zindagi nazr-e-zindagi kar di
partav-e-husn se zarre bhi bane aaine
kitne jalve kiye arzaan tiri raanaai ne
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
ik yaqin-parvar gumaan aur ik hayaat-aamez khvaab
jaise koi aaegaa aur uljhanein le jaaegaa
ye san kar meri nindein uD gai hain
koi meraa bhi sapnaa dekhtaa hai