Shayari
dekhne sunne kaa maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasaana ho
ye log kis ki taraf dekhte hain hasrat se
vo kaun hai jo samundar ke paar rahtaa hai
یہ لوگ کس کی طرف دیکھتے ہیں حسرت سے
وہ کون ہے جو سمندر کے پار رہتا ہے
ये लोग किस की तरफ़ देखते हैं हसरत से
वो कौन है जो समुंदर के पार रहता है

dekhne sunne kaa maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasaana ho
hisaar-e-jism miraa toD-phoD Daalegaa
zarur koi mujhe qaid se chhuDaa legaa
ab aur der na kar hashr barpaa karne mein
miri nazar tire didaar ko tarasti hai
chale the jis ki taraf vo nishaan khatm huaa
safar adhuraa rahaa aasmaan khatm huaa
har ek saans mujhe khinchti hai us ki taraf
ye kaun mere liye be-qaraar rahtaa hai
sahraa jangal saagar parbat
in se hi rasta miltaa hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
aarzu hai tujhe baaton mein lagaa kar ik din
ek muhtaat saliqe se bikhartaa dekhein
baDi hasrat se insaan bachpane ko yaad kartaa hai
ye phal pak kar dobaara chaahtaa hai khaam ho jaae
tamannaa jo na rakhtaa ho jhukaae vo nazar kis se
use shaadi o gham kis kaa use suud o zarar kis se
hansi mein Taal de phir se hamaari har khvaahish
phir ek baar thapak de hamaaraa gaal zaraa