Shayari
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
ba-sad adaa-e-dilbari hai iltijaa-e-mai-kashi
ye hosh ab kise ki mai haraam yaa halaal hai
بصد ادائے دلبری ہے التجائے مے کشی
یہ ہوش اب کسے کہ مے حرام یا حلال ہے
ब-सद अदा-ए-दिलबरी है इल्तिजा-ए-मय-कशी
ये होश अब किसे कि मय हराम या हलाल है

hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
sirf darvaaze talak jaa ke hi lauT aayaa huun
aisaa lagtaa hai ki sadiyon kaa safar kar aayaa