Shayari
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
naakhudaa hai maut jo dam hai so hai baad-e-muraad
azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yaar kaa
ناخدا ہے موت جو دم ہے سو ہے باد مراد
عزم ہے کشتیٔ تن کو بحر ہستی یار کا
नाख़ुदा है मौत जो दम है सो है बाद-ए-मुराद
अज़्म है कश्ती-ए-तन को बहर-ए-हस्ती यार का

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
uTh gai hain saamne se kaisi kaisi suratein
roiye kis ke liye kis kis kaa maatam kijiye
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab khubsurat
us gul-badan ki bu-e-badan kuchh na puchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
tere bin ghaDiyaan gini hain raat din
nau baras gyaarah mahine saat din
dil mein mire jigar mein mire aankh mein miri
har jaa hai dost aur nahin milti hai jaa-e-dost
ai kuza-gar de shakl mujhe ik charaagh ki
jis se kisi dayaar ko raushan main kar sakun