Shayari
darakhton par parinde lauT aanaa chaahte hain
khizaan-rut kaa guzar jaanaa zaruri ho gayaa hai
dil ko to bahut pahle se dhaDkaa saa lagaa thaa
paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai
دل کو تو بہت پہلے سے دھڑکا سا لگا تھا
پانا ترا شاید تجھے کھونے کے لیے ہے
दिल को तो बहुत पहले से धड़का सा लगा था
पाना तिरा शायद तुझे खोने के लिए है

darakhton par parinde lauT aanaa chaahte hain
khizaan-rut kaa guzar jaanaa zaruri ho gayaa hai
vasl ki shab thi aur ujaale kar rakkhe the
jism o jaan sab us ke havaale kar rakkhe the
maut se pahle jahaan mein chand saanson kaa azaab
zindagi jo qarz teraa thaa adaa kar aae hain
paani mein bhi chaand sitaare ug aate hain
aankh se dil tak vo zarkhezi ho jaati hai
chaand ban kar chamakne vaale ne
mujh ko suraj-misaal kar Daalaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
nigaah o dil mein vahi karbalaa kaa manzar thaa
main tishna-lab thi mire saamne samundar thaa
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aati hai
dil-e-majnun ke dhaDakne ki sadaa aati hai
naadaan meraa dil bahak jaae na kahin
shaanon pe gesuon ko bikheraa na kijiye