Shayari
kitne gham hain jo sar-e-shaam sulag uThte hain
chaara-gar tu ne ye kis dukh ki davaa bheji hai
H
Hamid Saroshmain ne bheji thi gulaabon ki bashaarat us ko
tohfatan us ne bhi khushbu-e-vafaa bheji hai
میں نے بھیجی تھی گلابوں کی بشارت اس کو
تحفۃً اس نے بھی خوشبوئے وفا بھیجی ہے
मैं ने भेजी थी गुलाबों की बशारत उस को
तोहफ़तन उस ने भी ख़ुशबू-ए-वफ़ा भेजी है
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
divaangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz
hai halqa-e-zanjir se zindaan hama-tan-chashm
shab ko aa kar vo phir gayaa haihaat
kyaa isi raat ham ko sonaa thaa