Shayari
mere dil ki shaakh pe jaanaan
har mausam mein tu khiltaa hai
balaa ki tamkanat se ab siyaahi bolti hai
hamaari chup se shah paa kar tabaahi bolti hai
بلا کی تمکنت سے اب سیاہی بولتی ہے
ہماری چپ سے شہہ پا کر تباہی بولتی ہے
बला की तमकनत से अब सियाही बोलती है
हमारी चुप से शह पा कर तबाही बोलती है

mere dil ki shaakh pe jaanaan
har mausam mein tu khiltaa hai
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhein girvi hain is nagri mein
hijr ki talkhi zahr bani hai miThi baatein bhejo naa
khud ko dekhe arsa guzraa apni aankhein bhejo naa
tire giton kaa matlab aur hai kuchh
hamaaraa dhun saraasar mukhtalif hai
go ek aziyyat hai tiraa rang-e-taghaaful
ye rang kisi aur pe sajtaa bhi nahin khair
sitaara hai koi gul hai ki dil hai
tiri Thokar mein patthar mukhtalif hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai