Shayari
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil kaa sahaaraa hai
bhaarat pyaaraa desh hamaaraa sab deshon se pyaaraa hai
haae vo jis ki ummidein hon khizaan par mauquf
shaakh-e-gul suukh ke gir jaae to kaashaana bane
ہائے وہ جس کی امیدیں ہوں خزاں پر موقوف
شاخ گل سوکھ کے گر جائے تو کاشانہ بنے
हाए वो जिस की उम्मीदें हों ख़िज़ाँ पर मौक़ूफ़
शाख़-ए-गुल सूख के गिर जाए तो काशाना बने

dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil kaa sahaaraa hai
bhaarat pyaaraa desh hamaaraa sab deshon se pyaaraa hai
hai tere liye saaraa jahaan husn se khaali
khud husn agar teri nigaahon mein nahin hai
sukh mein hotaa hai haafiza bekaar
dukh mein allaah yaad aataa hai
mujhe fardaa ki fikr kyun-kar ho
gham-e-imroz khaae jaataa hai
jab safar 'afsar' kabhi karte nahin
dekhte phir kyuun ho tum manzil ke khvaab
taaron kaa go shumaar mein aanaa muhaal hai
lekin kisi ko niind na aae to kyaa kare
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe