Shayari
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
H
HaqeerthoDi taklif sahi aane mein
do ghaDi baiTh ke uTh jaaiyegaa
تھوڑی تکلیف سہی آنے میں
دو گھڑی بیٹھ کے اٹھ جائیے گا
थोड़ी तकलीफ़ सही आने में
दो घड़ी बैठ के उठ जाइएगा
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
khuub mil kar gale se ro lenaa
is se dil ki safaai hoti hai
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
khair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
jaantaa us ko huun davaa ki tarah
chaahtaa us ko huun shifaa ki tarah
band-e-qabaa pe haath hai sharmaae jaate hain
kamsin hain zikr-e-vasl se ghabraae jaate hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
ab un se paai hai taklif to shikaayat kyaa
hamin ne sar pe chaDhaayaa thaa kuchh kaminon ko
ai chaaraagar ye kaisi hain davaaein
miri taklif baDhti jaa rahi hai
diyaa hai dard to rang-e-qubul de aisaa
jo ashk aankh se Tapke vo daastaan ho jaae
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain