Shayari
khel zindagi ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koi bhi aakhiri nahin hoti
ye tajraba huaa hai mohabbat ki raah mein
kho kar milaa jo ham ko vo paa kar nahin milaa
یہ تجربہ ہوا ہے محبت کی راہ میں
کھو کر ملا جو ہم کو وہ پا کر نہیں ملا
ये तजरबा हुआ है मोहब्बत की राह में
खो कर मिला जो हम को वो पा कर नहीं मिला

khel zindagi ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koi bhi aakhiri nahin hoti
pyaar kaa pahlaa khat likhne mein vaqt to lagtaa hai
nae parindon ko uDne mein vaqt to lagtaa hai
kuchh aur sabaq ham ko zamaane ne sikhaae
kuchh aur sabaq ham ne kitaabon mein paDhe the
hamein pasand nahin jang mein bhi makkaari
jise nishaane pe rakkhein bataa ke rakhte hain
kahin khulus kahin dosti kahin pe vafaa
baDe qarine se ghar ko sajaa ke rakhte hain
khud charaagh ban ke jal vaqt ke andhere mein
bhiik ke ujaalon se raushni nahin hoti
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kahaa thaa tum ne ki laataa hai kaun ishq ki taab
so ham javaab tumhaare savaal hi ke to hain
aashiq hain ham ko harf-e-mohabbat se kaam hai
mullaa nikaaltaa phire matlab kitaab se
jaan ham kaar-e-mohabbat kaa sila chaahte the
dil-e-saada koi mazdur hai ujrat kaisi
kuchh harf o sukhan pahle to akhbaar mein aayaa
phir ishq miraa kucha o baazaar mein aayaa