Shayari
bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
kuchh harf o sukhan pahle to akhbaar mein aayaa
phir ishq miraa kucha o baazaar mein aayaa
کچھ حرف و سخن پہلے تو اخبار میں آیا
پھر عشق مرا کوچہ و بازار میں آیا
कुछ हर्फ़ ओ सुख़न पहले तो अख़बार में आया
फिर इश्क़ मिरा कूचा ओ बाज़ार में आया

bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
sham-e-khema koi zanjir nahin ham-safaraan
jis ko jaanaa hai chalaa jaae ijaazat kaisi
us ki aankhein hain ki ik Dubne vaalaa insaan
dusre Dubne vaale ko pukaare jaise
khiraaj maang rahi hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhi hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hain
hoshiyaari dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ranj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
nafrat ke khazaane mein to kuchh bhi nahin baaqi
thoDaa saa guzaare ke liye pyaar bachaaein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil se niklegi na mar kar bhi vatan ki ulfat
meri miTTi se bhi khushbu-e-vafaa aaegi
mohabbat ruup mein Dhalti to vo ik devtaa hotaa
main us ko pujne lagtaa agar vo baa-vafaa hotaa
main ne dekhe hain dahakte hue phulon ke jigar
dil-e-binaa mein hai vo nuur tumhein kyaa maalum
ek mohabbat kaafi hai
baaqi umr izaafi hai