Shayari
tujh se vafaa na ki to kisi se vafaa na ki
kis tarah intiqaam liyaa apne aap se
daaman ko chaak kijiye is ehtiyaat se
ahl-e-jahaan ko zakhm-e-jigar kaa gumaan na ho
دامن کو چاک کیجئے اس احتیاط سے
اہل جہاں کو زخم جگر کا گماں نہ ہو
दामन को चाक कीजिए इस एहतियात से
अहल-ए-जहाँ को ज़ख़्म-ए-जिगर का गुमाँ न हो

tujh se vafaa na ki to kisi se vafaa na ki
kis tarah intiqaam liyaa apne aap se
taariki mein lipTi hui pur-haul khamoshi
is aalam mein kyaa nahin mumkin jaagte rahnaa
apne kisi amal pe nadaamat nahin mujhe
thaa nek-dil bahut jo gunahgaar mujh mein thaa
is jahaan mein to apnaa saaya bhi
raushni ho to saath chaltaa hai
main kuchh na kahun aur ye chaahun ki miri baat
khushbu ki tarah uD ke tire dil mein utar jaae
har taraf ik muhib sannaaTaa
dil dhaDaktaa to hai magar khaamosh
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge