Shayari
kyaa hai mujhe dete ho gilauri
chune mein kahin na sankhiyaa ho
I
Imdad Ali Bahrkamaal-e-taalib-dun-e-dun hai pir-e-haram
khudaa ke ghar mein hai lekin khudaa se baahar hai
کمال طالب دنیائے دوں ہے پیر حرم
خدا کے گھر میں ہے لیکن خدا سے باہر ہے
कमाल-ए-तालिब-ए-दुनिया-ए-दूँ है पीर-ए-हरम
ख़ुदा के घर में है लेकिन ख़ुदा से बाहर है
kyaa hai mujhe dete ho gilauri
chune mein kahin na sankhiyaa ho
ek bosa miri tankhvaah mile na mile
aarzu hai ki na qadmon se ye naukar chhuTe
duniyaa mein 'bahr' kaun ibaadat-guzaar hai
saum-o-salaat daakhil-e-rasm-o-rivaaj hai
bhaTak ke koi gayaa dair ko koi kaabe
ajiib bhul-bhulayyaan hai marhala dil kaa
puchhe rindon se koi in muftiyon kaa jhuuT sach
do dalilon se ye kar lete hain daavaa jhuuT sach
nahin ji chaahtaa milne ko subuk-vazon se
kyaa karein ham jo mizaaj apnaa giraani maange
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge