Shayari
zindagi ne ajab savaal kiye
raaegaan saari parchiyaan niklin
kaam aasaan kar diyaa jaae
ishq mein vaapsi ke raaste hon
کام آسان کر دیا جائے
عشق میں واپسی کے راستے ہوں
काम आसान कर दिया जाए
इश्क़ में वापसी के रास्ते हों

zindagi ne ajab savaal kiye
raaegaan saari parchiyaan niklin
kabhi mauqe pe kaam aayaa karegi
kisi ke saath rakhiye dushmani bhi
ham ko darkaar ik tabib ki hai
aap aaein to ham bhi achchhe hon
un ko bhi apni jhurriyaan dikh jaaein
aainon ke bhi apne chehre hon
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye