Shayari
kursi hai tumhaaraa ye janaaza to nahin hai
kuchh kar nahin sakte to utar kyon nahin jaate
qayaamat ki dhamki 'azaabon kaa Dar
abhi tak khudaa se huaa kuchh nahin
قیامت کی دھمکی عذابوں کا ڈر
ابھی تک خدا سے ہوا کچھ نہیں
क़यामत की धमकी 'अज़ाबों का डर
अभी तक ख़ुदा से हुआ कुछ नहीं

leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
nahin milti unhein manzil jinhein khauf-e-havaadis hai
jo maujon se nahin Darte nadi ko paar karte hain
meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
saath rakhiye kaam aaegaa bahut naam-e-khudaa
khauf gar jaagaa to phir kis ko sadaa di jaaegi
ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki
amn qaaem ho gayaa to leaderi kis kaam ki